Bootstrap Image Preview

Khumar - aisa nahi.n ki un se mohabbat nahi.n rahi

aisā nahī.n ki un se mohabbat nahī.n rahī 

jazbāt me.n vo pahlī sī shiddat nahī.n rahī 

-------------------*-------------------

zof-e-quvā ne āmad-e-pīrī kī dī naved 

vo dil nahī.n rahā vo tabī.at nahī.n rahī 

-------------------*-------------------

sar me.n vo intizār kā saudā nahī.n rahā 

dil par vo dhaḌkano.n kī hukūmat nahī.n rahī 

-------------------*-------------------

kamzorī-e-nigāh ne sanjīda kar diyā 

jalvo.n se chheḌ-chhāḌ kī aadat nahī.n rahī 

-------------------*-------------------

hātho.n se intiqām liyā irti.āsh ne 

dāmān-e-yār se koī nisbat nahī.n rahī 

-------------------*-------------------

paiham tavāf-e-kūcha-e-jānā.n ke din ga.e 

pairo.n me.n chalne phirne kī tāqat nahī.n rahī 

-------------------*-------------------

chehre ko jhurriyo.n ne bhayānak banā diyā 

ā.īna dekhne kī bhī himmat nahī.n rahī 

-------------------*-------------------

allāh jaane maut kahā.n mar ga.ī 'ḳhumār' 

ab mujh ko zindagī kī zarūrat nahī.n rahī 

-------------------*-------------------

Dard Shayari Yaad Shayari

Posted In : Khumar Barabankavi

17-Jul-2017
327 views

0 Comments