Bootstrap Image Preview

Ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota

ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota 

ya mira taaj gadayana banaya hota 

----------------*----------------

apna dīvana banaya mujhe hota tū ne 

kyuu.n ḳhirad-mand banaya na banaya hota 

----------------*----------------

ḳhaksarī ke liye garche banaya tha mujhe 

kaash ḳhak-e-dar-e-janana banaya hota 

----------------*----------------

nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko 

umr ka ta.ng na paimana banaya hota 

----------------*----------------

dil-e-sad-chak banaya to bala se lekin 

zulf-e-mushkī.n ka tire shana banaya hota 

----------------*----------------

sūfiyo.n ke jo na tha la.eq-e-sohbat to mujhe 

qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota 

----------------*----------------

tha jalana hī agar dūri-e-saqī se mujhe 

to charaġh-e-dar-e-mai-ḳhana banaya hota 

----------------*----------------

shola-e-husn chaman me.n na dikhaya us ne 

varna bulbul ko bhī parvana banaya hota 

----------------*----------------

roz mamūra-e-duniya me.n ḳharabī hai 'zafar' 

aisī bastī ko to vīrana banaya hota 

----------------*----------------

zindagi Duniya Shayari

Posted In : Bahadur Shah Zafar

12-Aug-2017
362 views

0 Comments