(1)
लालू चाचा दूर के
चारा खाये चूर के
नितीश को दिया प्याली में
समधी को दिया थाली में
नितीश गए रूठ
गठबंधन गया टूट!!
(2)
“मशहूर हुए वो जो कभी क़ाबिल ना थे और तो और….
कमबख़्त मंजिल भी उन्हें मिली जो दौड़ में कभी शामिल ना थे
*रामनाथ कोविन्द को समर्पित
--> आडवाणी जी की कलम से
...read morejanab dum ki ajab nafsiyat hoti hai
ki is ki jumbish-e-adna me.n baat hoti hai
-------------------*-------------------
vafa ke jazbe ka iz.har dum hilana hai
jo dum khaḌi hai vo nafrat ka taziyana hai
-------------------*-------------------
jo lambi dum hai vo ali-sifat hoti hai
jo muḳhtasar hai baḌi vahiyat hoti hai
-------------------*-------------------
vo jan-dar mukammal nahi.n adhura hai
vo jis ke dum nahi.n hoti hai vo lanDura hai
-------------------*-------------------
jaha.n me.n yuu.n to hai u.ncha maqam insa.n ka
magar lanDuro.n me.n aata hai naam insa.n ka
-------------------*-------------------
mai.n sochta huu.n jo insa.n ke dum lagi hoti
kasar jo baaqi hai vo bhi na rah ga.i hoti
-------------------*-------------------
vo apni jaan bachane ko ye sipar leta
jo haath se nahi.n kar paata dum se kar leta
-------------------*-------------------
kuchh is tariqe se radd-e-amal hua karta
guzarti dil pe to dum par asar mila karta
-------------------*-------------------
ḳhushi ka jazba ubharta to dum uchak jaati
koi udaas jo hota to dum laTak jaati
-------------------*-------------------
kisi pe dho.ns jamata to dum uTha leta
kisi se dho.ns jo khata to dum daba leta
-------------------*-------------------
buzurg log javano.n se jab ḳhafa hote
zaba.n pe un ke ye alfaz barmala hote
-------------------*-------------------
tumhe.n ḳhabar nahi.n thi kaisi an-ban ki dum
kaTa ke bech li tum ne to ḳhandan ki dum
-------------------*-------------------
kahi.n jo fateh-e-azam koi khaḌa hota
mire ḳhayal me.n yuu.n pose de raha hota
-------------------*-------------------
baḌe ġhurur se lahra raha hai dum apni
baja.e mo.nchho.n ke sahla raha hai dum apni
-------------------*-------------------
sabha me.n jab koi dastur-e-nau bana karta
shumar-e-ra.e kuchh is tarah se hua karta
-------------------*-------------------
jo log us ke muafiq hai.n dum uTha le.n vo
jo log us ke muḳhalif hai.n dum gira de.n vo
-------------------*-------------------
amiir logo.n ki dum me.n a.nguThiya.n hoti.n
a.nguThiyo.n me.n nagino.n ki buTiya.n hoti.n
-------------------*-------------------
ghamanD aur bhi baḌh jaata aur itrate
ye log jeb-ghaḌi apni dum me.n laTkate
-------------------*-------------------
hasin log kisi tarah se nibha lete
na milta kuchh to faqat dum ko hi ra.nga lete
-------------------*-------------------
jo muflisi se kabhi koi apni jhhallata
to haspatal me.n le ja ke dum kaTa aata
-------------------*-------------------
hasin logo.n ki phulo.n se dum Dhaki hoti
ki phuljhaḌi si fazao.n me.n chhuT rahi hoti
-------------------*-------------------
dumo.n se phir qad-e-zeba kuchh aur saj jaate
kaha.n ki zulf ki dum hi me.n dil ulajh jaate
-------------------*-------------------
ye iftiḳhar jo ham ashiqo.n ko mil jaata
har ek ġhuncha-e-ummid dil ka khil jaata
-------------------*-------------------
kisi ko bazm me.n ham apna yuu.n pata dete
baja.e paa.nv dabane ke dum daba dete
-------------------*-------------------
kabhi kamand ka jo kaam dum se ho jaata
ham ashiqo.n ka baḌa naam dum se ho jaata
-------------------*-------------------
ishara kar ke hame.n dum vo apni laTkate
ham un ke koThe pe dum ko pakaḌ ke chaḌh jaate
-------------------*-------------------
hamari raah ka har ka.nTa phuul ho jaa.e
agar dua ye hamari qubul ho jaa.e
-------------------*-------------------
ki aadmi ke liye dum bahut zaruri hai
baġhair dum ke har ik aarzu lanDuri hai
-------------------*-------------------
...read more