aankh bhar aa.i kisi se jo mulaqat hui
khushk mausam tha magar TuuT ke barsat hui
---------------------*---------------------
din bhi Duuba ki nahin ye mujhe ma.alum nahin
jis jagah bujh ga.e aankhokediye raat hui
---------------------*---------------------
koi hasrat koi arman koi ḳhvahish hi na thi
aise aalam meñ mirī ḳhud se mulaqat hui
---------------------*---------------------
ho gayaapne paḌosi ka paḌosi dushman
adamiyyat bhi yahan nazr-e-fasadat hui
---------------------*---------------------
isi honi ko to qismat ka likha kahte haiñ
jitne ka jahan mauqa.a thā vahīñ maat hui
---------------------*---------------------
is tarah guzra hai bachpan ki khilaune na mile
aur javani men buḌhape se mulaqat hui
---------------------*---------------------